shab-e-firaq se manus-e-gham ka mara hun
shab-e-firāq se mānūs-e-ġham kā maarā huuñ
ubhartā chāñd nahīñ Dūbtā sitārā huuñ
zamāne vaalo agar ho sake to rahm karo
mirī hañsī na uḌaao maiñ be-sahārā huuñ
navāzo dār-o-rasan se ki khaal khinchvāo
bas ek baar ye kah do ki maiñ tumhārā huuñ
milegā merā ta.āruf kahāñ kitāboñ meñ
maiñ ahl-e-dard ke chehroñ se āshkārā huuñ
vo jis se paa.ī hai tanvīr chāñd sūraj ne
maiñ us ke ishq meñ 'ġhamgīn' dil ko haarā huuñ
shab-e-firaq se manus-e-gham ka mara hun
ubharta chand nahin Dubta sitara hun
zamane walo agar ho sake to rahm karo
meri hansi na uDao main be-sahaara hun
nawazo dar-o-rasan se ki khaal khinchwao
bas ek bar ye kah do ki main tumhaara hun
milega mera taaruf kahan kitabon mein
main ahl-e-dard ke chehron se aashkara hun
wo jis se pai hai tanwir chand suraj ne
main us ke ishq mein 'ghamgin' dil ko haara hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.