shab-e-firaq thi KHamoshi thi udasi thi
shab-e-firāq thī ḳhāmoshī thī udāsī thī
ye tiin bahneñ thiiñ jin meñ baḌī udāsī thī
mire vajūd se utrā jahāñ meñ bār-e-alam
mire nasīb meñ bhāgīrathī udāsī thī
tumheñ hī pās-e-vafā thā nahīñ vagarna kabhī
hamāre paas bhī achchhī-bhalī udāsī thī
vo muskurā to rahā thā bayān karte hue
magar bayān meñ us ke basī udāsī thī
harā huā to harā hī rahā shagufta dil
sharīr zaḳhm thā andar chhupī udāsī thī
maiñ apne shahr kā sab se udaas laḌkā thā
mire qarīb laḌakpan se hī udāsī thī
shab-e-firaq thi KHamoshi thi udasi thi
ye tin bahnen thin jin mein baDi udasi thi
mere wajud se utra jahan mein bar-e-alam
mere nasib mein bhagirathi udasi thi
tumhein hi pas-e-wafa tha nahin wagarna kabhi
hamare pas bhi achchhi-bhali udasi thi
wo muskura to raha tha bayan karte hue
magar bayan mein us ke basi udasi thi
hara hua to hara hi raha shagufta dil
sharir zaKHm tha andar chhupi udasi thi
main apne shahr ka sab se udas laDka tha
mere qarib laDakpan se hi udasi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.