shab-e-furqat mein aankhon se meri ashk-e-alam nikle
shab-e-furqat meñ āñkhoñ se mirī ashk-e-alam nikle
añdherā bhī ziyāda thā sitāre bhī na kam nikle
hamāre ghar meñ Daaka Daal kar Daaku pashemāñ haiñ
shikasta sāz-o-sāmāñ aur kuchh phūTe diram nikle
maiñ aisā saḳht-jāñ huuñ aazmā kar dekh le qātil
nahīñ mumkin ki terī burrish-e-ḳhanjar se dam nikle
nahīñ jāh-o-nasab se nāmvar 'iqbāl' yā 'ġhālib'
‘alam-bardār-e-shohrat un ke rash.hāt-e-qalam nikle
kisī par hai karam apnā kisī se raah rakhte ho
batāo ek ham kyoñ taḳhta-e-mashq-e-sitam nikle
huā haq jalva-gar jis dam rafū-chakkar huā bātil
ḳhudā kā ghar banā kā'ba to kā'be se sanam nikle
mirī taqdīr bhī yārab hai koī kākul-e-jānāñ
agarche laakh suljhāyā na is ke pech-o-ḳham nikle
mujhe rakkhā añdhere meñ sar-o-sāmān-e-'ishrat ne
charāġh-e-rāh gar nikle to mere dāġh-e-ġham nikle
kisī se ham-suḳhan hote lagā kartā hai Dar mujh ko
kahīñ aisā na ho ik baat meñ pahlū-e-dam nikle
jahāñ kāñTe vahāñ gul haiñ ye duniyā maz.har-e-azdād
'adāvat karne vāloñ meñ mohabbat-kesh ham nikle
liyā un kā sahārā Dūbne vāloñ ne ai 'bartar'
jinheñ nākāra ham samjhe vahī tinke aham nikle
shab-e-furqat mein aankhon se meri ashk-e-alam nikle
andhera bhi ziyaada tha sitare bhi na kam nikle
hamare ghar mein Daka Dal kar Daku pasheman hain
shikasta saz-o-saman aur kuchh phuTe diram nikle
main aisa saKHt-jaan hun aazma kar dekh le qatil
nahin mumkin ki teri burrish-e-KHanjar se dam nikle
nahin jah-o-nasab se namwar 'iqbaal' ya 'ghaalib'
‘alam-bardar-e-shohrat un ke rashhat-e-qalam nikle
kisi par hai karam apna kisi se rah rakhte ho
batao ek hum kyon taKHta-e-mashq-e-sitam nikle
hua haq jalwa-gar jis dam rafu-chakkar hua baatil
KHuda ka ghar bana ka'ba to ka'be se sanam nikle
meri taqdir bhi yarab hai koi kakul-e-jaanan
agarche lakh suljhaya na is ke pech-o-KHam nikle
mujhe rakkha andhere mein sar-o-saman-e-'ishrat ne
charagh-e-rah gar nikle to mere dagh-e-gham nikle
kisi se ham-suKHan hote laga karta hai Dar mujh ko
kahin aisa na ho ek baat mein pahlu-e-dam nikle
jahan kanTe wahan gul hain ye duniya mazhar-e-azdad
'adawat karne walon mein mohabbat-kesh hum nikle
liya un ka sahaara Dubne walon ne ai 'bartar'
jinhen nakara hum samjhe wahi tinke aham nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.