shab-e-furqat tumhaari yaad rah rah kar rulati hai
shab-e-furqat tumhaari yaad rah rah kar rulati hai
Syed Mehmood Hasan Qaisar Amrohvi
MORE BYSyed Mehmood Hasan Qaisar Amrohvi
shab-e-furqat tumhārī yaad rah rah kar rulātī hai
na hai dil ko sukūñ ik dam na niiñd āñkhoñ meñ aatī hai
qarīb-e-kū-e-jānāñ aa gayā kyā qāfila dil kā
ki har har zarre se bū-e-mohabbat mujh ko aatī hai
ḳhayāl-e-vasl se bhī kis tarah taskīn ho dil ko
ki phir mil kar judā hone kī saa.at yaad aatī hai
mohabbat kyā isī kā naam hai duniyā meñ ai 'qaisar'
ki sham-e-bazm parvāne ko jal jal kar jalātī hai
shab-e-furqat tumhaari yaad rah rah kar rulati hai
na hai dil ko sukun ek dam na nind aankhon mein aati hai
qarib-e-ku-e-jaanan aa gaya kya qafila dil ka
ki har har zarre se bu-e-mohabbat mujh ko aati hai
KHayal-e-wasl se bhi kis tarah taskin ho dil ko
ki phir mil kar juda hone ki saat yaad aati hai
mohabbat kya isi ka nam hai duniya mein ai 'qaisar'
ki sham-e-bazm parwane ko jal jal kar jalati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.