shab-e-gham hujum-e-alam tauba tauba
shab-e-ġham hujūm-e-alam tauba tauba
aur aañsū bhī āñkhoñ meñ kam tauba tauba
shab-o-roz sahbā-e-ulfat kī mastī
haram meñ bhī yād-e-sanam tauba tauba
junūñ be-niyāz-e-makāñ hai to phir kyoñ
ye taḳhsīs-e-dair-o-haram tauba tauba
bhalā kyā ye ra.anā.ī-e-dahr hotī
na hote jahāñ meñ jo ham tauba tauba
do-ālam kī daulat mire dil kī qīmat
kahāñ ye kahāñ jām-e-jam tauba tauba
nigāheñ bachā kar vo un kā tabassum
karam-koshiyoñ meñ sitam tauba tauba
shab-e-gham hujum-e-alam tauba tauba
aur aansu bhi aankhon mein kam tauba tauba
shab-o-roz sahba-e-ulfat ki masti
haram mein bhi yaad-e-sanam tauba tauba
junun be-niyaz-e-makan hai to phir kyon
ye taKHsis-e-dair-o-haram tauba tauba
bhala kya ye ranai-e-dahr hoti
na hote jahan mein jo hum tauba tauba
do-alam ki daulat mere dil ki qimat
kahan ye kahan jam-e-jam tauba tauba
nigahen bacha kar wo un ka tabassum
karam-koshiyon mein sitam tauba tauba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.