shab-e-gham muKHtasar si ho gai hai
shab-e-ġham muḳhtasar sī ho ga.ī hai
hayāt ab mo'atabar sī ho ga.ī hai
na.ī rāheñ nikaltī aa rahī haiñ
ye laġhzish rāhbar sī ho ga.ī hai
vafā kī ḳhū na jiddat dushmanī meñ
ye duniyā be-hunar sī ho ga.ī hai
mirī be-chārgī kyā pūchhte ho
vo ab to chāra-gar sī ho ga.ī hai
jhukī rahne lagī haiñ ab vo nazreñ
fuġhāñ kuchh kār-gar sī ho ga.ī hai
shab-e-gham muKHtasar si ho gai hai
hayat ab mo'atabar si ho gai hai
nai rahen nikalti aa rahi hain
ye laghzish rahbar si ho gai hai
wafa ki KHu na jiddat dushmani mein
ye duniya be-hunar si ho gai hai
meri be-chaargi kya puchhte ho
wo ab to chaara-gar si ho gai hai
jhuki rahne lagi hain ab wo nazren
fughan kuchh kar-gar si ho gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.