shab-e-gham zabt-koshi se hum itna kaam lete hain
shab-e-ġham zabt-koshī se ham itnā kaam lete haiñ
jo dil meñ huuk uThtī hai kaleja thaam lete haiñ
na jaane kyuuñ nigāhoñ se gire jaate haiñ duniyā kī
gunah karte haiñ koī yā tumhārā naam lete haiñ
usī ko ehtirām-e-husn kahte haiñ haqīqat meñ
ham apne zikr se pahle tumhārā naam lete haiñ
nashāt-e-āshiyāñ kā raaz irfān-e-aqīdat hai
chaman kī pattī patī se tirā paiġhām lete haiñ
jinheñ nāzoñ se paalā ham ne āġhosh-e-mohabbat meñ
vahī gin gin ke badle ai dil-e-nākām lete haiñ
nasheman se haiñ saarī kaifiyāt-e-zindagī qaa.em
guloñ ke rang-o-bū se ham surūr-e-jām lete haiñ
dil-e-ġham-āshnā kī muztarib ghaḌiyāñ nahīñ kaTtīñ
chale aao ki ham baiThe tumhārā naam lete haiñ
hameñ ai 'zeb' qalb-e-māhiyat kī bhī to aadat hai
pareshānī se ham aksar sukūñ kā kaam lete haiñ
shab-e-gham zabt-koshi se hum itna kaam lete hain
jo dil mein huk uThti hai kaleja tham lete hain
na jaane kyun nigahon se gire jate hain duniya ki
gunah karte hain koi ya tumhaara nam lete hain
usi ko ehtiram-e-husn kahte hain haqiqat mein
hum apne zikr se pahle tumhaara nam lete hain
nashat-e-ashiyan ka raaz irfan-e-aqidat hai
chaman ki patti pati se tera paigham lete hain
jinhen nazon se pala hum ne aaghosh-e-mohabbat mein
wahi gin gin ke badle ai dil-e-nakaam lete hain
nasheman se hain sari kaifiyat-e-zindagi qaem
gulon ke rang-o-bu se hum surur-e-jam lete hain
dil-e-gham-ashna ki muztarib ghaDiyan nahin kaTtin
chale aao ki hum baiThe tumhaara nam lete hain
hamein ai 'zeb' qalb-e-mahiyat ki bhi to aadat hai
pareshani se hum aksar sukun ka kaam lete hain
- Book : Nigar Khane (Pg. 91)
- Author : Mata Prashad Istihana Zeb Brelavi
- Publication : Abdul bari aasii Acadami alatosh Road, Lucknow (1966)
- Edition : 1966
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.