shab-e-ghurbat mein jo KHushbu-e-watan pas aai
shab-e-ġhurbat meñ jo ḳhushbū-e-vatan paas aa.ī
der tak saañs nahīñ sirf tirī baas aa.ī
jo navishtoñ meñ matā’-e-do-jahāñ baTtī thī
mere hisse meñ yahī shiddat-e-ehsās aa.ī
koī ummīd hai mujh ko na koī andesha
aas aa.ī mire dil meñ na kabhī yaas aa.ī
jab khulā saañs liyā hai mahak uTThā hai mashām
ye mire haath 'ajab daulat-e-anfās aa.ī
jab bhī aa.ī hai kabhī us nigah-e-nāz kī yaad
shīsha-e-dil ke liye sūra-e-almās aa.ī
tū isī kulba-e-ahzāñ meñ paḌā rah ḳhurshīd
tujh ko kab sohbat-e-abnā-e-zamāñ raas aa.ī
shab-e-ghurbat mein jo KHushbu-e-watan pas aai
der tak sans nahin sirf teri bas aai
jo nawishton mein mata’-e-do-jahan baTti thi
mere hisse mein yahi shiddat-e-ehsas aai
koi ummid hai mujh ko na koi andesha
aas aai mere dil mein na kabhi yas aai
jab khula sans liya hai mahak uTTha hai masham
ye mere hath 'ajab daulat-e-anfas aai
jab bhi aai hai kabhi us nigah-e-naz ki yaad
shisha-e-dil ke liye sura-e-almas aai
tu isi kulba-e-ahzan mein paDa rah KHurshid
tujh ko kab sohbat-e-abna-e-zaman ras aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.