shab-e-hangam-e-wahshat kya tan-asani khulegi
shab-e-hangām-e-vahshat kyā tan-āsānī khulegī
hamārī vaz' kī ḳhātir pareshānī khulegī
abhī kyā sā’at-e-avval meñ kuchh tā'līm hogā
nasha jab had se baḌh jā.egā hairānī khulegī
havā-e-sub.h-e-tāza kis badan kī muntazir hai
hameñ mā'lūm hai kis par farāvānī khulegī
nihāñ rakkheñge ham tum apne apne mausamoñ ko
jo Thahrāo nahīñ aaya to arzānī khulegī
hamārī ḳhaak ko ḳhāk-e-ravāñ rakkhā gayā hai
ye jitnā nam rahegī utnī āsānī khulegī
guzar jā.eñge ham jo us galī se ek pal meñ
to ham par zindagī bhar kī pashemānī khulegī
sab apnī apnī duniyā meñ bahut hī mutma.in haiñ
magar vo log kam haiñ jin pe vīrānī khulegī
hazāroñ rang meñ hai vo gul-e-tāza ki jo hai
pa qismat se hī ik lamha ko 'uryānī khulegī
shab-e-hangam-e-wahshat kya tan-asani khulegi
hamari waz' ki KHatir pareshani khulegi
abhi kya sa’at-e-awwal mein kuchh ta'lim hoga
nasha jab had se baDh jaega hairani khulegi
hawa-e-subh-e-taza kis badan ki muntazir hai
hamein ma'lum hai kis par farawani khulegi
nihan rakkhenge hum tum apne apne mausamon ko
jo Thahrao nahin aaya to arzani khulegi
hamari KHak ko KHak-e-rawan rakkha gaya hai
ye jitna nam rahegi utni aasani khulegi
guzar jaenge hum jo us gali se ek pal mein
to hum par zindagi bhar ki pashemani khulegi
sab apni apni duniya mein bahut hi mutmain hain
magar wo log kam hain jin pe virani khulegi
hazaron rang mein hai wo gul-e-taza ki jo hai
pa qismat se hi ek lamha ko 'uryani khulegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.