shab-e-hayat mein qindil-e-arzu tera gham
shab-e-hayāt meñ qindīl-e-ārzū tirā ġham
sukūt-e-jāñ meñ farozāñ sadā-e-hū tirā ġham
ram-e-nafas meñ machaltī huī sadā tirā naam
rag-e-gulū meñ sulagtā huā lahū tirā ġham
harīm-e-zāt meñ raushan charāġh ke mānind
riyāz-e-shauq meñ naḳhl-e-subuk-numū tirā ġham
mire shu.ūr ke zindāñ meñ ik darīcha-e-nūr
mare vajūd ke sahrā meñ āb-jū tirā ġham
lagan koī bhī ho unvān-e-justujū tirā husn
suḳhan kisī se ho mauzū-e-guftugū tirā ġham
surūr-o-kaif kī sab mahfiloñ meñ dekh liyā
kahīñ sharāb tirā ġham kahīñ subū tirā ġham
ḳhayāl-o-fikr ke sab maktaboñ meñ pūchh liyā
matā.a-e-dānish-o-tahqīq-o۔justujū tirā ġham
samā'o-soz kī sab majlisoñ meñ DhūñD liyā
ma.āl-e-zikr-o-manājāt-o-hā-o-hū tirā ġham
haram meñ hirz-e-dil-o-jān-e-qudsiyāñ tirā naam
sanam-kade meñ barahman kī aarzū tirā ġham
sukūn-e-qalb jo sochā to sar-basar tirī yaad
nashāt-e-zīst ko dekhā to hū-bahū tirā ġham
ġham-e-jahāñ ġham-e-jānāñ ġham-e-digar ġham-e-ḳhvesh
jahān-e-ġham meñ har ik ġham kī aabrū tirā ġham
har ek ranj se guzre har ik ḳhushī se ga.e
liye phirā jinheñ ik umr kū-bakū tirā ġham
rahī na koī bhī hasrat ki rakh diyā maiñ ne
har ek jazba-e-dilkash ke rū-ba-rū tirā ġham
shab-e-hayat mein qindil-e-arzu tera gham
sukut-e-jaan mein farozan sada-e-hu tera gham
ram-e-nafas mein machalti hui sada tera nam
rag-e-gulu mein sulagta hua lahu tera gham
harim-e-zat mein raushan charagh ke manind
riyaz-e-shauq mein naKHl-e-subuk-numu tera gham
mere shuur ke zindan mein ek daricha-e-nur
mare wajud ke sahra mein aab-ju tera gham
lagan koi bhi ho unwan-e-justuju tera husn
suKHan kisi se ho mauzu-e-guftugu tera gham
surur-o-kaif ki sab mahfilon mein dekh liya
kahin sharab tera gham kahin subu tera gham
KHayal-o-fikr ke sab maktabon mein puchh liya
mataa-e-danish-o-tahqiq-o۔justuju tera gham
sama'o-soz ki sab majlison mein DhunD liya
maal-e-zikr-o-manajat-o-ha-o-hu tera gham
haram mein hirz-e-dil-o-jaan-e-qudsiyan tera nam
sanam-kade mein barahman ki aarzu tera gham
sukun-e-qalb jo socha to sar-basar teri yaad
nashat-e-zist ko dekha to hu-bahu tera gham
gham-e-jahan gham-e-jaanan gham-e-digar gham-e-KHwesh
jahan-e-gham mein har ek gham ki aabru tera gham
har ek ranj se guzre har ek KHushi se gae
liye phira jinhen ek umr ku-baku tera gham
rahi na koi bhi hasrat ki rakh diya main ne
har ek jazba-e-dilkash ke ru-ba-ru tera gham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.