shab-e-hijran ki wahshat ko tu ai bedad kya jaane
shab-e-hijran ki wahshat ko tu ai bedad kya jaane
Inamullah Khan Yaqeen
MORE BYInamullah Khan Yaqeen
shab-e-hijrāñ kī vahshat ko tū ai bedād kyā jaane
jo din paḌte haiñ rātoñ ko mujhe terī balā jaane
judā ham se huā thā ek din jo apne yāroñ meñ
ḳhabar phir kuchh na paa.ī kyā huā vaaq.e ḳhudā jaane
na rakh ai abr tū sar par hamāre baar minnat kā
vo bādal aur haiñ jo aag ko dil kī bujhā jaane
na rakh ai dil tū ummīd-e-vafā in be-vafāoñ se
ḳhudā se hai vo begāna jo but ko āshnā jaane
junūñ ne us ke gul se bulbuloñ tak shor Daalā hai
'yaqīñ' sā ho koī tab is tarah dhūmeñ machā jaane
shab-e-hijran ki wahshat ko tu ai bedad kya jaane
jo din paDte hain raaton ko mujhe teri bala jaane
juda hum se hua tha ek din jo apne yaron mein
KHabar phir kuchh na pai kya hua waqe KHuda jaane
na rakh ai abr tu sar par hamare bar minnat ka
wo baadal aur hain jo aag ko dil ki bujha jaane
na rakh ai dil tu ummid-e-wafa in be-wafaon se
KHuda se hai wo begana jo but ko aashna jaane
junun ne us ke gul se bulbulon tak shor Dala hai
'yaqin' sa ho koi tab is tarah dhumen macha jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.