shab-e-mahshar teri bahon ke talabgar rahe
shab-e-mahshar tirī bāhoñ ke talabgār rahe
ham tire apnoñ meñ ho kar bhī to aġhyār rahe
ek maiñ huuñ jo hamesha se muḳhālif Thahrā
ek tum ho jo hamesha se taraf-dār rahe
saath ho kar bhī to ham saath nahīñ haiñ maano
ek āñgan ho magar biich meñ dīvār rahe
ek us se hī nahīñ nibh sakā rishta ham se
yuuñ to ham saare zamāne se vafādār rahe
fā.eda kyā huā jo us ne muāfī de dī
apnī nazroñ meñ to tā-umr gunahgār rahe
ek arse se hañsī tak nahīñ aa.ī ham ko
ek arse se udāsī meñ giraftār rahe
film ke ant meñ jo jaan gañvā detā hai
ham haqīqat meñ vahī āḳhirī kirdār rahe
shab-e-mahshar teri bahon ke talabgar rahe
hum tere apnon mein ho kar bhi to aghyar rahe
ek main hun jo hamesha se muKHalif Thahra
ek tum ho jo hamesha se taraf-dar rahe
sath ho kar bhi to hum sath nahin hain mano
ek aangan ho magar bich mein diwar rahe
ek us se hi nahin nibh saka rishta hum se
yun to hum sare zamane se wafadar rahe
faeda kya hua jo us ne muafi de di
apni nazron mein to ta-umr gunahgar rahe
ek arse se hansi tak nahin aai hum ko
ek arse se udasi mein giraftar rahe
film ke ant mein jo jaan ganwa deta hai
hum haqiqat mein wahi aaKHiri kirdar rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.