shab-e-siyah guzarti hai kin azabon mein
shab-e-siyāh guzartī hai kin azāboñ meñ
bikharte shahr ke manzar haiñ mere ḳhvāboñ meñ
ye aap giniye kī lāsheñ kidhar ziyāda haiñ
maiñ tañg-dast huuñ is tarah ke hisāboñ meñ
likhā huā thā ki ik dūsre se pyaar karo
jale gharoñ se milī adh-jalī kitāboñ meñ
sukūñ kā koī bhī lamha hameñ nasīb nahīñ
ḳhushī kī koī bhī sargam nahīñ rabāboñ meñ
maiñ baat baat pe rone lagā huuñ so yārab
tū merī ḳhāmushī ko darj kar javāboñ meñ
shab-e-siyah guzarti hai kin azabon mein
bikharte shahr ke manzar hain mere KHwabon mein
ye aap giniye ki lashen kidhar ziyaada hain
main tang-dast hun is tarah ke hisabon mein
likha hua tha ki ek dusre se pyar karo
jale gharon se mili adh-jali kitabon mein
sukun ka koi bhi lamha hamein nasib nahin
KHushi ki koi bhi sargam nahin rababon mein
main baat baat pe rone laga hun so yarab
tu meri KHamushi ko darj kar jawabon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.