shab-e-tarik hun nur-e-sahar hone ki KHwahish hai
shab-e-tārīk huuñ nūr-e-sahar hone kī ḳhvāhish hai
maiñ aisā ho nahīñ saktā magar hone kī ḳhvāhish hai
mohabbat ke muqābil aa ga.ī hai dostī yaaro
udhar maiñ ho nahīñ saktā jidhar hone kī ḳhvāhish hai
vagarna terā honā aur na honā ek jaisā hai
kisī ahl-e-nazar se mil agar hone kī ḳhvāhish hai
'razā' ik din tujhe apnī nazar se bhī girā degī
ye jauhar ik nazar meñ mo'tabar hone kī ḳhvāhish hai
shab-e-tarik hun nur-e-sahar hone ki KHwahish hai
main aisa ho nahin sakta magar hone ki KHwahish hai
mohabbat ke muqabil aa gai hai dosti yaro
udhar main ho nahin sakta jidhar hone ki KHwahish hai
wagarna tera hona aur na hona ek jaisa hai
kisi ahl-e-nazar se mil agar hone ki KHwahish hai
'raza' ek din tujhe apni nazar se bhi gira degi
ye jauhar ek nazar mein mo'tabar hone ki KHwahish hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.