shab-e-wasl ruTha hai dilbar kisi ka
shab-e-vasl rūThā hai dilbar kisī kā
na yuuñ ban ke bigḌe muqaddar kisī kā
ġhash aaya jo mujh ko to zālim ye bolā
na rakkheñge zaanū pe ham sar kisī kā
masahrī pe phūloñ kī sotā hai koī
taḌaptā hai kāñToñ pe muztar kisī kā
ga.e vo to taqdīr phūTī kisī kī
vo aa.e to chamkā muqaddar kisī kā
dam-e-qatl bhī muñh phirā.e hue hai
baḌā be-muravvat hai ḳhanjar kisī kā
vo dekhā kiye le ke sīmāb pahroñ
jo yaad aa gayā qalb-e-muztar kisī kā
sabā jā ke chupke se kahnā kisī se
dil aaya hai ai shoḳh tujh par kisī kā
pas-e-marg aaya jo turbat pe qāsid
to royā bahut naam le kar kisī kā
shab-e-vasl merā kuchh isrār karnā
baḌhānā vo sharmā ke zevar kisī kā
na pāmāl kar is ko ġhuncha samajh kar
ye dil hai are o sitamgar kisī kā
taḌaptā hai 'naushād' furqat meñ har-dam
judā ho kisī se na dilbar kisī kā
shab-e-wasl ruTha hai dilbar kisi ka
na yun ban ke bigDe muqaddar kisi ka
ghash aaya jo mujh ko to zalim ye bola
na rakkhenge zanu pe hum sar kisi ka
masahri pe phulon ki sota hai koi
taDapta hai kanTon pe muztar kisi ka
gae wo to taqdir phuTi kisi ki
wo aae to chamka muqaddar kisi ka
dam-e-qatl bhi munh phirae hue hai
baDa be-murawwat hai KHanjar kisi ka
wo dekha kiye le ke simab pahron
jo yaad aa gaya qalb-e-muztar kisi ka
saba ja ke chupke se kahna kisi se
dil aaya hai ai shoKH tujh par kisi ka
pas-e-marg aaya jo turbat pe qasid
to roya bahut nam le kar kisi ka
shab-e-wasl mera kuchh israr karna
baDhana wo sharma ke zewar kisi ka
na pamal kar is ko ghuncha samajh kar
ye dil hai are o sitamgar kisi ka
taDapta hai 'naushad' furqat mein har-dam
juda ho kisi se na dilbar kisi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.