shab-e-visal jo pahna tere badan ka libas
shab-e-visāl jo pahnā tire badan kā libās
tamām umr na bhāyā kisī bhī tan kā libās
ajiib sañg tarāshā hai dast-e-qudrat ne
tire badan pe qayāmat hai bāñkpan kā libās
hameñ hai shauq tirā maḳhmalīñ badan pahneñ
ḳhafā hai ham se yuuñ nargis kā nastaran kā libās
maiñ sher kahte hue bhī usī ko sochtā huuñ
basā hai us kī hī ḳhushbū meñ fikr-o-fan kā libās
maiñ us ke jism ke har zāviye ko bhāñp gayā
pahan ke aayā thā zālim ajab chalan kā libās
vo surḳh-posh zarā der ko chaman meñ gayā
to ek lamhe meñ phīkā paḌā chaman kā libās
tirī hī zaat to mehvar hai shā.irī kā mirī
tire ḳhayāl ko detā huuñ maiñ suḳhan kā libās
shab-e-visal jo pahna tere badan ka libas
tamam umr na bhaya kisi bhi tan ka libas
ajib sang tarasha hai dast-e-qudrat ne
tere badan pe qayamat hai bankpan ka libas
hamein hai shauq tera maKHmalin badan pahnen
KHafa hai hum se yun nargis ka nastaran ka libas
main sher kahte hue bhi usi ko sochta hun
basa hai us ki hi KHushbu mein fikr-o-fan ka libas
main us ke jism ke har zawiye ko bhanp gaya
pahan ke aaya tha zalim ajab chalan ka libas
wo surKH-posh zara der ko chaman mein gaya
to ek lamhe mein phika paDa chaman ka libas
teri hi zat to mehwar hai shairi ka meri
tere KHayal ko deta hun main suKHan ka libas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.