shab-e-visal ke sare sitare dub gae
shab-e-visāl ke saare sitāre duub ga.e
hamāre saath koī raushnī nahīñ aa.ī
nigār-ḳhāna banāyā thā ham ne dil ko bahut
magar yahāñ pe kabhī vo parī nahīñ aa.ī
kisī ke hijr ne patthar banā diyā thā hameñ
badan meñ vasl ke din thartharī nahīñ aa.ī
shab-e-visal ke sare sitare dub gae
hamare sath koi raushni nahin aai
nigar-KHana banaya tha hum ne dil ko bahut
magar yahan pe kabhi wo pari nahin aai
kisi ke hijr ne patthar bana diya tha hamein
badan mein wasl ke din tharthari nahin aai
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 106)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 104)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.