shab-e-visal mein dil par qalaq abhi se hai
shab-e-visāl meñ dil par qalaq abhī se hai
sahar hai duur mirā rañg faq abhī se hai
hunūz dafn huā hī nahīñ tirā bismil
ki zalzale meñ zamīñ kā tabaq abhī se hai
maiñ likh chukā hī nahīñ hāl-e-dil ki us kī taraf
havā-e-shauq meñ uḌtā varaq abhī se hai
chalā nahīñ vo irāda hī sair-e-māh kā hai
pa nāzukī se jabīñ par araq abhī se hai
kisī ne shaam ke aane ko kyā kahā 'ishrat'
ki muñh pe aap ke phūlī shafaq abhī se hai
shab-e-visal mein dil par qalaq abhi se hai
sahar hai dur mera rang faq abhi se hai
hunuz dafn hua hi nahin tera bismil
ki zalzale mein zamin ka tabaq abhi se hai
main likh chuka hi nahin haal-e-dil ki us ki taraf
hawa-e-shauq mein uDta waraq abhi se hai
chala nahin wo irada hi sair-e-mah ka hai
pa nazuki se jabin par araq abhi se hai
kisi ne sham ke aane ko kya kaha 'ishrat'
ki munh pe aap ke phuli shafaq abhi se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.