Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shab-e-zindagi jo guzarti rahi

Hayat Lakhnavi

shab-e-zindagi jo guzarti rahi

Hayat Lakhnavi

MORE BYHayat Lakhnavi

    shab-e-zindagī jo guzartī rahī

    na.e ḳhvāb āñkhoñ meñ bhartī rahī

    taqaddus ke pahre fazā par rahe

    gunāhoñ ḳhushbū bikhartī rahī

    koī us meñ mausam mahram na thā

    havādis se kashtī guzartī rahī

    maiñ pyāsī nigāheñ bachātā phirā

    mirī tishnagī kaam kartī rahī

    falak se zamīñ par hamesha 'hayāt'

    navā-e-muqaddas utartī rahī

    shab-e-zindagi jo guzarti rahi

    nae KHwab aankhon mein bharti rahi

    taqaddus ke pahre faza par rahe

    gunahon ki KHushbu bikharti rahi

    koi us mein mausam ka mahram na tha

    hawadis se kashti guzarti rahi

    main pyasi nigahen bachata phira

    meri tishnagi kaam karti rahi

    falak se zamin par hamesha 'hayat'

    nawa-e-muqaddas utarti rahi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now