shab-gazidon mein nam karta hai
shab-gazīdoñ meñ naam kartā hai
hijr kār-e-davām kartā hai
kaun sī tishnagī hai mauj-ba-dosh
dariyā mujh se kalām kartā hai
maiñ bhī to us pe jaañ chhiḌaktā huuñ
ġham agar ehtirām kartā hai
phir tirā dil-figār sahrā meñ
jashn kā ehtimām kartā hai
kin jahānoñ meñ DhūñDe phirte ho
dil badan meñ qayām kartā hai
hai 'ajab 'ishq kā mu’allim bhī
kār-e-tiflāñ tamām kartā hai
shab-gazidon mein nam karta hai
hijr kar-e-dawam karta hai
kaun si tishnagi hai mauj-ba-dosh
dariya mujh se kalam karta hai
main bhi to us pe jaan chhiDakta hun
gham agar ehtiram karta hai
phir tera dil-figar sahra mein
jashn ka ehtimam karta hai
kin jahanon mein DhunDe phirte ho
dil badan mein qayam karta hai
hai 'ajab 'ishq ka mu’allim bhi
kar-e-tiflan tamam karta hai
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 53)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.