shab hum ko jo uski dhun rahi hai
shab ham ko jo us kī dhun rahī hai
kyā jī meñ udheḌ-bun rahī hai
majnūñ se kaho ki ''māñ ke lailā
ḳhātir tirī ta.ane sun rahī hai''
parvāna to jal chukā vale sham.a
sar apnā hanūz dhun rahī hai
pahlū se uThā mire na ġhabġhab
ye poTlī dard chun rahī hai
ye aah pe laḳht-e-dil jale haiñ
yā sīḳh-kabāb bhun rahī hai
rakkhūñ na aziiz dāġh-e-dil ko
paas apne yahī to hun rahī hai
ai meñh na baras ki 'mus.hafī' kī
chhat ghar kī tamām ghun rahī hai
shab hum ko jo us ki dhun rahi hai
kya ji mein udheD-bun rahi hai
majnun se kaho ki man ke laila
KHatir teri tane sun rahi hai
parwana to jal chuka wale shama
sar apna hanuz dhun rahi hai
pahlu se uTha mere na ghabghab
ye poTli dard chun rahi hai
ye aah pe laKHt-e-dil jale hain
ya siKH-kabab bhun rahi hai
rakkhun na aziz dagh-e-dil ko
pas apne yahi to hun rahi hai
ai meinh na baras ki 'mushafi' ki
chhat ghar ki tamam ghun rahi hai
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(Vol-4)(pdf) (Pg. 258)
- Author : Ghulam hamdani Mashafi
- Publication : Qaumi council baraye -farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.