shab jo ruKH-e-pur-Khaal se wo burqe ko utare sote hain
shab jo ruḳh-e-pur-ḳhāl se vo burqe ko utāre sote haiñ
chashm-e-qamar lagtī hī nahīñ kyā balki na taare sote haiñ
band kiye āñkheñ vo apnī nashshe ke maare sote haiñ
vaqt yahī hai ghaat kā ai dil dekh chikāre sote haiñ
hijr meñ tere shams o qamar kī aañkh lage kyā lail-o-nahār
charḳh ke kab gahvāre meñ ye ishq ke maare sote haiñ
aayā thā vo māh-jabīñ iqrār pe aadhī raat ko aah
yaaro kyūñkar jāgte rahiye baḳht hamāre sote haiñ
fursat pā kar haath lagāyā paañv ko un ke jab maiñ ne
kahne lage chal duur sarak mat haath lagā re sote haiñ
bistar-e-gul kī bālish-e-par kī un ko nahīñ kuchh hājat hai
sar ko tire zaanū par rakh jo shab ko pyāre sote haiñ
kyā jaane is ḳhvāb-e-adam meñ lazzat hai jo ahl-e-qubūr
apne apne ghar meñ haañ yuuñ paañv pasāre sote haiñ
ik muddat meñ phirte phirte muñh se sunī darbāñ ke ye baat
shukr ḳhudā kā apne vo ghar meñ aaj to pyāre sote haiñ
chorī se ham shab ko pahuñche paañv talak juuñ duzd-e-hinā
lekin chaukīdār ka.ī nazdīk tumhāre sote haiñ
us ke qarīb-e-chashm kahāñ hai ḳhaal dilā Tuk ġhaur se dekh
kaifiyyat se mast paḌe dariyā ke kināre sote haiñ
vo to kabhī bedārī meñ juz-ḳhvāb nahīñ milte yaaro
koī hameñ hargiz na uThānā hijr ke maare sote haiñ
maañg meñ terī kyuuñ na kareñ ushshāq ke dil ārām bhalā
haiñ ye musāfir raste meñ manzil ke maare sote haiñ
chashm-e-mulāqāt un se rakhiye tū hī batā kis vaj.h 'nasīr'
ġhair kī jānib abrū se vo kar ke ishāre sote haiñ
shab jo ruKH-e-pur-KHal se wo burqe ko utare sote hain
chashm-e-qamar lagti hi nahin kya balki na tare sote hain
band kiye aankhen wo apni nashshe ke mare sote hain
waqt yahi hai ghat ka ai dil dekh chikare sote hain
hijr mein tere shams o qamar ki aankh lage kya lail-o-nahaar
charKH ke kab gahware mein ye ishq ke mare sote hain
aaya tha wo mah-jabin iqrar pe aadhi raat ko aah
yaro kyunkar jagte rahiye baKHt hamare sote hain
fursat pa kar hath lagaya panw ko un ke jab main ne
kahne lage chal dur sarak mat hath laga re sote hain
bistar-e-gul ki baalish-e-par ki un ko nahin kuchh hajat hai
sar ko tere zanu par rakh jo shab ko pyare sote hain
kya jaane is KHwab-e-adam mein lazzat hai jo ahl-e-qubur
apne apne ghar mein han yun panw pasare sote hain
ek muddat mein phirte phirte munh se suni darban ke ye baat
shukr KHuda ka apne wo ghar mein aaj to pyare sote hain
chori se hum shab ko pahunche panw talak jun duzd-e-hina
lekin chaukidar kai nazdik tumhaare sote hain
us ke qarib-e-chashm kahan hai KHal dila Tuk ghaur se dekh
kaifiyyat se mast paDe dariya ke kinare sote hain
wo to kabhi bedari mein juz-KHwab nahin milte yaro
koi hamein hargiz na uThana hijr ke mare sote hain
mang mein teri kyun na karen ushshaq ke dil aaram bhala
hain ye musafir raste mein manzil ke mare sote hain
chashm-e-mulaqat un se rakhiye tu hi bata kis wajh 'nasir'
ghair ki jaanib abru se wo kar ke ishaare sote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.