shab judai ki ab Dhal rahi hai
shab judā.ī kī ab Dhal rahī hai
vasl kī raah par chal rahī hai
'ishq meñ maiñ hī pāgal nahīñ thā
thoḌā vo bhī to pāgal rahī hai
raat karvaT pe karvaT badal kar
hijr kī aag meñ jal rahī hai
vaqt fāqoñ pe guzrā hai aksar
yuuñ ġharībī musalsal rahī hai
ai 'zafar' har kisī kī du'ā se
har du'ā maañ kī afzal rahī hai
shab judai ki ab Dhal rahi hai
wasl ki rah par chal rahi hai
'ishq mein main hi pagal nahin tha
thoDa wo bhi to pagal rahi hai
raat karwaT pe karwaT badal kar
hijr ki aag mein jal rahi hai
waqt faqon pe guzra hai aksar
yun gharibi musalsal rahi hai
ai 'zafar' har kisi ki du'a se
har du'a man ki afzal rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.