shab ka sannaTa Daraata hai mujhe
shab kā sannāTā Darātā hai mujhe
ḳhvāb meñ aa kar jagātā hai mujhe
vo mujhe shāyad nahīñ pahchāntā
merā hī qissa sunātā hai mujhe
chilchilātī dhuup meñ jaltā rahā
din Dhale saaya bulātā hai mujhe
bhuul jā.ūñ kis tarah maiñ dosto
biitā mausam yaad aatā hai mujhe
jo azal se thā mire qadmoñ tale
ab vo zarra āzmātā hai mujhe
naam se mahfil sajātā thā jo kal
bazm se apnī uThātā hai mujhe
aap kyā jāneñ bhalā 'mansūr' jī
kaun sā ġham khaa.e jaatā hai mujhe
shab ka sannaTa Daraata hai mujhe
KHwab mein aa kar jagata hai mujhe
wo mujhe shayad nahin pahchanta
mera hi qissa sunata hai mujhe
chilchilati dhup mein jalta raha
din Dhale saya bulata hai mujhe
bhul jaun kis tarah main dosto
bita mausam yaad aata hai mujhe
jo azal se tha mere qadmon tale
ab wo zarra aazmata hai mujhe
nam se mahfil sajata tha jo kal
bazm se apni uThata hai mujhe
aap kya jaanen bhala 'mansur' ji
kaun sa gham khae jata hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.