shab ka surma bhi nahin subh ka ghaza bhi nahin
shab kā surma bhī nahīñ sub.h kā ġhāza bhī nahīñ
koī tamsīl tire husn ko zebā bhī nahīñ
dekh leñge jo huā jis se sar-e-koh-e-visāl
tū ḳhudā bhī nahīñ hai aur maiñ muusā bhī nahīñ
koī ġham phir tujhe lāhaq hai magar ai mire dil
terā ronā kabhī ik baat kā to thā bhī nahīñ
tazkiyā ho gul-e-ehsās huvaidā ho jaa.e
aisā paikar to abhī chaak pe aaya bhī nahīñ
ye maiñ tanhā vo tirī maañg ki gauhar hī guhar
dekhā jaa.e to taġhāful tirā bejā bhī nahīñ
ek partav ne kiyā shāḳhcha-e-dil pe 'ayāñ
baar aisā ki gul-e-shauq huvaidā bhī nahīñ
shab ka surma bhi nahin subh ka ghaza bhi nahin
koi tamsil tere husn ko zeba bhi nahin
dekh lenge jo hua jis se sar-e-koh-e-visal
tu KHuda bhi nahin hai aur main musa bhi nahin
koi gham phir tujhe lahaq hai magar ai mere dil
tera rona kabhi ek baat ka to tha bhi nahin
tazkiya ho gul-e-ehsas huwaida ho jae
aisa paikar to abhi chaak pe aaya bhi nahin
ye main tanha wo teri mang ki gauhar hi guhar
dekha jae to taghaful tera beja bhi nahin
ek partaw ne kiya shaKHcha-e-dil pe 'ayan
bar aisa ki gul-e-shauq huwaida bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.