shab kaTne ki aur hi surat nikaliye
shab kāTne kī aur hī sūrat nikāliye
aanā thā jin ko aaj vo ai dost aa liye
rāh-e-safar tavīl hai gar ban paḌe to bas
ḳhvāboñ se 'ishq kījiye zaḳhmoñ ko pāliye
pal-bhar ke vāste sahī hangāma kuchh to ho
nas-nas ko apnī kāTiye lohū uchhāliye
ab lafz-lafz rang uḌāne se fā.eda
honā thā jo vo ho chukā ab ḳhaak Dāliye
nature kā koī bhī na nishāñ shahr meñ rahe
peḌoñ ke paañv kāTiye saḌkeñ nikāliye
is 'ahd ke mizāj ko bhī jāniye zarā
motī bikher dījiye patthar sañbhāliye
shab kaTne ki aur hi surat nikaliye
aana tha jin ko aaj wo ai dost aa liye
rah-e-safar tawil hai gar ban paDe to bas
KHwabon se 'ishq kijiye zaKHmon ko paliye
pal-bhar ke waste sahi hangama kuchh to ho
nas-nas ko apni kaTiye lohu uchhaaliye
ab lafz-lafz rang uDane se faeda
hona tha jo wo ho chuka ab KHak Daliye
nature ka koi bhi na nishan shahr mein rahe
peDon ke panw kaTiye saDken nikaliye
is 'ahd ke mizaj ko bhi jaaniye zara
moti bikher dijiye patthar sanbhaaliye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.