shab ke parde mein ek aawaz laga jata hai
shab ke parde meñ ik āvāz lagā jaatā hai
sham.a sī koī añdhere meñ jalā jaatā hai
lafz-o-ma.anī se judā saut-o-sadā se mahrūm
ġham kī tahzīb meñ kuchh yuuñ bhī kahā jaatā hai
mere lahje meñ tashakkur ke sivā kuchh bhī nahīñ
tere chehre kā ye kyoñ rang uḌā jaatā hai
shukriya nik.hat-e-gul bū-e-chaman mauj-e-nasīm
koī jhoñkā mire āñgan meñ bhī aa jaatā hai
har ġhazal kah ke ye mahsūs huā hai 'sāġhar'
dil meñ jo thā vahī kahne se rahā jaatā hai
shab ke parde mein ek aawaz laga jata hai
shama si koi andhere mein jala jata hai
lafz-o-mani se juda saut-o-sada se mahrum
gham ki tahzib mein kuchh yun bhi kaha jata hai
mere lahje mein tashakkur ke siwa kuchh bhi nahin
tere chehre ka ye kyon rang uDa jata hai
shukriya nikhat-e-gul bu-e-chaman mauj-e-nasim
koi jhonka mere aangan mein bhi aa jata hai
har ghazal kah ke ye mahsus hua hai 'saghar'
dil mein jo tha wahi kahne se raha jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.