shab ki mutrib tha sharab-e-nab thi paimana tha
shab ki mutrib thā sharāb-e-nāb thī paimāna thā
vo parī-vash kyā na thā goyā ki jo kuchh thā na thā
soz-e-dil se lab ye har dam naala betābāna thā
hijr-e-sāqī meñ kisī pahlū qarār aslā na thā
jalva-gar dil meñ ḳhayāl-e-āriz-e-jānāna thā
ghar kī zīnat thī ki zīnat-baḳhsh sāhab-ḳhāna thā
kyā karūñ ab mubtalā huuñ aap apne haal meñ
dī thī ne'mat us ne jab lab par mire shukrāna thā
shohra-e-āfāq hotī merī az-ḳhud-raftagī
ḳhairiyat guzrī ki āñkhoñ se tujhe dekhā na thā
fasl-e-gul meñ chhoḌtā mai dekh kar māh-e-siyām
kuchh junūñ mujh ko na thā vahshat na thī saudā na thā
kyā kahūñ Dar ye hai vo lailā-adā rusvā na ho
varna majnūñ se bhī kuchh baḌh kar merā afsāna na thā
gar nazākat meñ na hotā misl-e-tār-e-ankabūt
ḳhuub ulfat se zamāna meñ koī rishta na thā
yuuñ za.īfī aa ga.ī goyā azal se the za.iif
aur shabāb aisā gayā jaise kabhī aayā na thā
hai yaqīñ 'āshiq tumhārā mar gayā ho lo ḳhabar
maiñ ne kal dekhā thā jā kar haal kuchh achchhā na thā
nīm-bāz āñkheñ tumhārā naam thā vird-e-zabāñ
zaḳhm-e-dil par haath thā lab par magar shikva na thā
baḳht kī bargasht-agī guzrī hai had se ai 'habīb'
dekhte haiñ un ke talve jin kā muñh dekhā na thā
shab ki mutrib tha sharab-e-nab thi paimana tha
wo pari-wash kya na tha goya ki jo kuchh tha na tha
soz-e-dil se lab ye har dam nala betabana tha
hijr-e-saqi mein kisi pahlu qarar asla na tha
jalwa-gar dil mein KHayal-e-ariz-e-jaanana tha
ghar ki zinat thi ki zinat-baKHsh sahab-KHana tha
kya karun ab mubtala hun aap apne haal mein
di thi ne'mat us ne jab lab par mere shukrana tha
shohra-e-afaq hoti meri az-KHud-raftagi
KHairiyat guzri ki aankhon se tujhe dekha na tha
fasl-e-gul mein chhoDta mai dekh kar mah-e-siyam
kuchh junun mujh ko na tha wahshat na thi sauda na tha
kya kahun Dar ye hai wo laila-ada ruswa na ho
warna majnun se bhi kuchh baDh kar mera afsana na tha
gar nazakat mein na hota misl-e-tar-e-ankabut
KHub ulfat se zamana mein koi rishta na tha
yun zaifi aa gai goya azal se the zaif
aur shabab aisa gaya jaise kabhi aaya na tha
hai yaqin 'ashiq tumhaara mar gaya ho lo KHabar
main ne kal dekha tha ja kar haal kuchh achchha na tha
nim-baz aankhen tumhaara nam tha wird-e-zaban
zaKHm-e-dil par hath tha lab par magar shikwa na tha
baKHt ki bargasht-agi guzri hai had se ai 'habib'
dekhte hain un ke talwe jin ka munh dekha na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.