shab ki aaghosh mein jate hue Dar lagta hai
shab kī āġhosh meñ jaate hue Dar lagtā hai
niiñd ik ḳhvāb-e-pareshān kā ghar lagtā hai
chīḳh uThte haiñ ThiThurte hue patte jūñhī
sard jhoñke kā ghanī shāḳh se sar lagtā hai
eucalyptus ke daraḳhtoñ pe pasāre paañv
ūñghtā chāñd udāsī kā nagar lagtā hai
dekh kar āb-zada shahr ko sāhil bolā
Duub jaane meñ kahāñ koī hunar lagtā hai
qāfile vaalo zarā der ko so lene do
niiñd kā chehra hameñ ḳhvāb-e-digar lagtā hai
shab ki aaghosh mein jate hue Dar lagta hai
nind ek KHwab-e-pareshan ka ghar lagta hai
chiKH uThte hain ThiThurte hue patte junhi
sard jhonke ka ghani shaKH se sar lagta hai
eucalyptus ke daraKHton pe pasare panw
unghta chand udasi ka nagar lagta hai
dekh kar aab-zada shahr ko sahil bola
Dub jaane mein kahan koi hunar lagta hai
qafile walo zara der ko so lene do
nind ka chehra hamein KHwab-e-digar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.