shab ki aankhon se jo gira hoga
shab kī āñkhoñ se jo girā hogā
chāñd ban kar chamak rahā hogā
ratjage de ke umr bhar ke hameñ
vo hasīñ ḳhvāb dekhtā hogā
shahr-e-shab meñ pukār kar dekhūñ
koī insāñ to jāgtā hogā
ek jhankār sī sunā.ī dī
ik tasavvur bikhar gayā hogā
sochtā huuñ mire liye shāyad
vo bhī rātoñ meñ jāgtā hogā
vo bhī tanhā udaas lamhoñ meñ
mere baare meñ sochtā hogā
terī ranjish bajā sahī 'akram'
tujh se vo bhī to kuchh ḳhafā hogā
shab ki aankhon se jo gira hoga
chand ban kar chamak raha hoga
ratjage de ke umr bhar ke hamein
wo hasin KHwab dekhta hoga
shahr-e-shab mein pukar kar dekhun
koi insan to jagta hoga
ek jhankar si sunai di
ek tasawwur bikhar gaya hoga
sochta hun mere liye shayad
wo bhi raaton mein jagta hoga
wo bhi tanha udas lamhon mein
mere bare mein sochta hoga
teri ranjish baja sahi 'akram'
tujh se wo bhi to kuchh KHafa hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.