shab ki tarik rahdari hai
shab kī tārīk rāhdārī hai
aur mirā ḳhauf iztirārī hai
sabz ḳhvāboñ kī kam se kam qīmat
zindagī bhar kī ashk-bārī hai
ik musallat-shuda tamaddun ko
ye na kahiye ki iḳhtiyārī hai
shash-jihātī mushāhida hai miyāñ
tajraboñ kī sanad pe bhārī hai
shukriya aap kī mohabbat kā
dil kā maqsūm sogvārī hai
tajziye sun ke muskurā denā
apnī itnī hī zimmedārī hai
shab ki tarik rahdari hai
aur mera KHauf iztirari hai
sabz KHwabon ki kam se kam qimat
zindagi bhar ki ashk-bari hai
ek musallat-shuda tamaddun ko
ye na kahiye ki iKHtiyari hai
shash-jihati mushahida hai miyan
tajrabon ki sanad pe bhaari hai
shukriya aap ki mohabbat ka
dil ka maqsum sogwari hai
tajziye sun ke muskura dena
apni itni hi zimmedari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.