shab ki tariki mein bhi ek dam sawera ho gaya
shab kī tārīkī meñ bhī ik dam saverā ho gayā
anjuman meñ un ke aane se ujālā ho gayā
vo thā bad-qismat nigāheñ jis ne un se pher liiñ
bazm meñ hote hue vo shaḳhs tanhā ho gayā
dushmanoñ kī zahr-afshānī se thā maiñ fikrmand
lab pe un kā naam kyā aayā maiñ dariyā ho gayā
qatl insāñ ho rahā hai nafratoñ kī bhiiḌ meñ
haa.e ḳhuun insān kā kis darja sastā ho gayā
ye bhī mobile kā ik adnā karishma hai miyāñ
vaqt se pahle hī har bachcha siyānā ho gayā
aadmī hī se ḳhatā.eñ hotī haiñ ai dosto
kis ne kab dā'vā kiyā 'rahbar' farishta ho gayā
shab ki tariki mein bhi ek dam sawera ho gaya
anjuman mein un ke aane se ujala ho gaya
wo tha bad-qismat nigahen jis ne un se pher lin
bazm mein hote hue wo shaKHs tanha ho gaya
dushmanon ki zahr-afshani se tha main fikrmand
lab pe un ka nam kya aaya main dariya ho gaya
qatl insan ho raha hai nafraton ki bhiD mein
hae KHun insan ka kis darja sasta ho gaya
ye bhi mobile ka ek adna karishma hai miyan
waqt se pahle hi har bachcha siyana ho gaya
aadmi hi se KHataen hoti hain ai dosto
kis ne kab da'wa kiya 'rahbar' farishta ho gaya
- Book : Aao Raushni Karlen (Pg. 65)
- Author : Rahbar Pratapgarhi
- Publication : Maktaba Ahsan,Lucknow (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.