shab ki tanhaiyon ka dukh nahin dekha jata
shab kī tanhā.iyoñ kā dukh nahīñ dekhā jaatā
raushnī se diyoñ kā dukh nahīñ dekhā jaatā
maiñ tujhe kaaT rahā huuñ mere sūkhe paudhe
mujh se ab titliyoñ kā dukh nahīñ dekhā jaatā
shāhzādoñ kī fat.h maat bhī shahzādoñ kī
tum se shahzādiyoñ kā dukh nahīñ dekhā jaatā
ab ki chaltī hai havā jo to maraz uThtā hai
sard purvā.iyoñ kā dukh nahīñ dekhā jaatā
ham ko sūraj-mukhī ke phuul lubhāte bhī nahīñ
raat kī rāniyoñ kā dukh nahīñ dekhā jaatā
haath ke ābloñ pe sab kī nazar hai 'naqqāsh'
paañv kī uñgliyoñ kā dukh nahīñ dekhā jaatā
shab ki tanhaiyon ka dukh nahin dekha jata
raushni se diyon ka dukh nahin dekha jata
main tujhe kaT raha hun mere sukhe paudhe
mujh se ab titliyon ka dukh nahin dekha jata
shahzadon ki fath mat bhi shahzadon ki
tum se shahzadiyon ka dukh nahin dekha jata
ab ki chalti hai hawa jo to maraz uThta hai
sard purwaiyon ka dukh nahin dekha jata
hum ko suraj-mukhi ke phul lubhate bhi nahin
raat ki raniyon ka dukh nahin dekha jata
hath ke aablon pe sab ki nazar hai 'naqqash'
panw ki ungliyon ka dukh nahin dekha jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.