shab ki zulfen sanwarta hua main
shab kī zulfeñ sañvārtā huā maiñ
ye tire saath jāgtā huā maiñ
rishta-e-jāñ se kaT gayā yaksar
kuchh ta.alluq nibāhtā huā maiñ
vo sar-e-bazm jhūmtā huā tū
ye sar-e-rah karāhtā huā maiñ
vo sar-e-shāḳh tū mahaktā huā
aur sar-e-ḳhāk sūkhtā huā maiñ
gir gayā thak ke apne qadmoñ meñ
tujh se tujh ko hī māñgtā huā maiñ
aks-dar-aks phailtā huā tū
ḳhvāb-dar-ḳhvāb bhāgtā huā maiñ
tere sarsabz mausamoñ se judā
dasht kī ḳhaak phāñktā huā maiñ
apne taaza vajūd meñ gum huuñ
tujhe nasloñ se khojtā huā maiñ
mujhe qarnoñ meñ sochtā huā tū
tujhe sadiyoñ meñ DhūñDhtā huā maiñ
ye mirā dard bhūltā huā tū
ye tirī ḳhair māñgtā huā maiñ
adl kī maslahat kā ā.īna
ye sar-e-dār jhūltā huā maiñ
shab ki zulfen sanwarta hua main
ye tere sath jagta hua main
rishta-e-jaan se kaT gaya yaksar
kuchh talluq nibahta hua main
wo sar-e-bazm jhumta hua tu
ye sar-e-rah karahta hua main
wo sar-e-shaKH tu mahakta hua
aur sar-e-KHak sukhta hua main
gir gaya thak ke apne qadmon mein
tujh se tujh ko hi mangta hua main
aks-dar-aks phailta hua tu
KHwab-dar-KHwab bhagta hua main
tere sarsabz mausamon se juda
dasht ki KHak phankta hua main
apne taza wajud mein gum hun
tujhe naslon se khojta hua main
mujhe qarnon mein sochta hua tu
tujhe sadiyon mein DhunDhta hua main
ye mera dard bhulta hua tu
ye teri KHair mangta hua main
adl ki maslahat ka aaina
ye sar-e-dar jhulta hua main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.