shab kis se ye hum juda rahe hain
shab kis se ye ham judā rahe haiñ
tā sub.h nipaT ḳhafā rahe haiñ
aanā hai to aa vagarna pyāre
ham aap se aaj jā rahe haiñ
baiTheñ pas-e-kār-e-ḳhvesh kyūñ-kar
jo naaz tire uThā rahe haiñ
vīrāne se mere Dar na ai chuġhad
ik vaqt to yaañ humā rahe haiñ
ai hastī tū khīñch naqsh-e-bātil
ham haiñ to ise miTā rahe haiñ
phir āzim-e-girya huuñ ki tūfāñ
juuñ abr nazar meñ chhā rahe haiñ
ronā hai agar yahī to 'qā.em'
ik ḳhalq ko ham Dubā rahe haiñ
shab kis se ye hum juda rahe hain
ta subh nipaT KHafa rahe hain
aana hai to aa wagarna pyare
hum aap se aaj ja rahe hain
baiThen pas-e-kar-e-KHwesh kyun-kar
jo naz tere uTha rahe hain
virane se mere Dar na ai chughad
ek waqt to yan huma rahe hain
ai hasti tu khinch naqsh-e-baatil
hum hain to ise miTa rahe hain
phir aazim-e-girya hun ki tufan
jun abr nazar mein chha rahe hain
rona hai agar yahi to 'qaem'
ek KHalq ko hum Duba rahe hain
- Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.