shab ko tanhai mein yaaden jo sada deti hain
shab ko tanhai mein yaaden jo sada deti hain
Shan-e-Haider Bebak Amrohvi
MORE BYShan-e-Haider Bebak Amrohvi
shab ko tanhā.ī meñ yādeñ jo sadā detī haiñ
dil ke vīrāne meñ ik shahr basā detī haiñ
shiddat-e-zabt kī lazzat ko ghaTā detī haiñ
āñkheñ nādān haiñ kyoñ ashk bahā detī haiñ
ḳhushbū dete haiñ sabhī daaġh purāne dil ke
jab ye purvā.iyāñ yādoñ ko havā detī haiñ
Duub jaatā hai jo sannāTe meñ saarā aalam
dil kī bechainiyāñ tab dād-e-vafā detī haiñ
jazba-e-shauq kā iz.hār na hone paa.e
dil kī be-tābiyāñ nazroñ se girā detī haiñ
jādūgar haiñ ye na.ī sub.h kī ummīdeñ bhī
suunī āñkhoñ meñ na.e diip jalā detī haiñ
karb ehsās kā pūchho zarā bevāoñ se
bhūke bachchoñ ko thapak kar jo sulā detī haiñ
bad-gumānī ko jagah dil meñ na denā hargiz
ye ġhalat-fahmiyāñ jhagḌoñ ko baḌhā detī haiñ
ab vahī nazreñ jo detī thiiñ shu.ūr-e-hastī
ham ko nā-karda gunāhī kī sazā detī haiñ
jin se baaqī rahe rishtoñ ke taqaddus kā bharam
vo ta.alluq kī ḳharāsheñ bhī mazā detī haiñ
bārhā un se kiyā tark-e-ta.alluq 'bebāk'
niiñd kī vādiyāñ phir un se milā detī haiñ
shab ko tanhai mein yaaden jo sada deti hain
dil ke virane mein ek shahr basa deti hain
shiddat-e-zabt ki lazzat ko ghaTa deti hain
aankhen nadan hain kyon ashk baha deti hain
KHushbu dete hain sabhi dagh purane dil ke
jab ye purwaiyan yaadon ko hawa deti hain
Dub jata hai jo sannaTe mein sara aalam
dil ki bechainiyan tab dad-e-wafa deti hain
jazba-e-shauq ka izhaar na hone pae
dil ki be-tabiyan nazron se gira deti hain
jadugar hain ye nai subh ki ummiden bhi
suni aankhon mein nae dip jala deti hain
karb ehsas ka puchho zara bewaon se
bhuke bachchon ko thapak kar jo sula deti hain
bad-gumani ko jagah dil mein na dena hargiz
ye ghalat-fahmiyan jhagDon ko baDha deti hain
ab wahi nazren jo deti thin shuur-e-hasti
hum ko na-karda gunahi ki saza deti hain
jin se baqi rahe rishton ke taqaddus ka bharam
wo talluq ki KHarashen bhi maza deti hain
barha un se kiya tark-e-talluq 'bebak'
nind ki wadiyan phir un se mila deti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.