shab mein suraj ko hum nikalenge
shab meñ sūraj ko ham nikāleñge
pattharoñ meñ bhī jaan Dāleñge
ham safar kar chuke ḳhalāoñ meñ
ab samundar ko bhī khañgāleñge
ye parinde haiñ mere dil kī tarah
jī jahāñ chāhā ghar banā leñge
aane deñge na jism-o-jāñ meñ ḳhizāñ
zaḳhm har dam harā-bharā leñge
dard-o-ġham ke sivā bhalā 'saifī'
ham faqīroñ se log kyā leñge
shab mein suraj ko hum nikalenge
pattharon mein bhi jaan Dalenge
hum safar kar chuke KHalaon mein
ab samundar ko bhi khangalenge
ye parinde hain mere dil ki tarah
ji jahan chaha ghar bana lenge
aane denge na jism-o-jaan mein KHizan
zaKHm har dam hara-bhara lenge
dard-o-gham ke siwa bhala 'saifi'
hum faqiron se log kya lenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.