shab mein tulua-e-chehra-e-mahtab kijiye
shab meñ tulūa-e-chehra-e-mahtāb kījiye
āġhāz raushnī kā nayā baab kījiye
ye malgajī sī raat dhuāñ aur ye visāl
is mehrbān-e-vaqt ko ādāb kījiye
maiñ tishnagī sameT ke laayā huuñ umr kī
yak lamha-e-visāl meñ sairāb kījiye
aise to un meñ aks mirā Duub jā.egā
āñkheñ na apnī ḳhāna-e-sailāb kījiye
pachhtā rahā huuñ ḳhud ko haqīqat meñ Dhaal kar
mizhgāñ pe rakh ke phir se mujhe ḳhvāb kījiye
ik bahr-e-be-karāñ meñ ise Dhaal degā ilm
us ke sipurd fikr kā tālāb kījiye
shab mein tulua-e-chehra-e-mahtab kijiye
aaghaz raushni ka naya bab kijiye
ye malgaji si raat dhuan aur ye visal
is mehrban-e-waqt ko aadab kijiye
main tishnagi sameT ke laya hun umr ki
yak lamha-e-visal mein sairab kijiye
aise to un mein aks mera Dub jaega
aankhen na apni KHana-e-sailab kijiye
pachhta raha hun KHud ko haqiqat mein Dhaal kar
mizhgan pe rakh ke phir se mujhe KHwab kijiye
ek bahr-e-be-karan mein ise Dhaal dega ilm
us ke sipurd fikr ka talab kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.