yaad mujhko karne wale mere pyare mar gae
yaad mujhko karne wale mere pyare mar gae
Syed John Abbas Kazmi
MORE BYSyed John Abbas Kazmi
yaad mujh ko karne vaale mere pyāre mar ga.e
jin ko mujh se thī mohabbat log saare mar ga.e
dukh mujhe is baat kā hai maiñ akelā rah gayā
merī bastī ke makīñ sab us kināre mar ga.e
vo judā ho kar dobāra mil sakegā yā nahīñ
karte karte umr bhar ham istiḳhāre mar ga.e
gā.ikī meñ jitne sur the khā ga.ī shorīdgī
shā.irī meñ jitne bhī the isti.āre mar ga.e
chāñd ne pahnī qabā-e-abd aadhī raat ko
merī āñkhoñ meñ ka.ī raushan sitāre mar ga.e
ḳhāmushī ke sab kinā.e zuud goī le uḌī
rah ga.e alfāz baaqī aur ishāre mar ga.e
vaqt kartā hai hamesha aur hī kuchh faisle
jo the lashkar meñ bahādur Dar ke maare mar ga.e
yaad mujh ko karne wale mere pyare mar gae
jin ko mujh se thi mohabbat log sare mar gae
dukh mujhe is baat ka hai main akela rah gaya
meri basti ke makin sab us kinare mar gae
wo juda ho kar dobara mil sakega ya nahin
karte karte umr bhar hum istiKHare mar gae
gaiki mein jitne sur the kha gai shoridgi
shairi mein jitne bhi the istiare mar gae
chand ne pahni qaba-e-abd aadhi raat ko
meri aankhon mein kai raushan sitare mar gae
KHamushi ke sab kinae zud goi le uDi
rah gae alfaz baqi aur ishaare mar gae
waqt karta hai hamesha aur hi kuchh faisle
jo the lashkar mein bahadur Dar ke mare mar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.