shab na ye sardi se yaKH-basta zamin har tarf hai
shab na ye sardī se yaḳh-basta zamīñ har tarf hai
mah pukāre hai falak-parvardagī to barf hai
shāh-e-gul kā hukm sayyāroñ ke ye hai baaġh meñ
jo na pī kar aa.e mai naukar nahīñ bartarf hai
surḳh hai rūmāl-e-shālī us ke tahtul-jañg tak
mus.haf ruḳhsār par yā jadval-e-shañgarf hai
nau-ḳhatoñ ke dil meñ juz mashq-e-sitam tarz-e-vafā
yaksar-e-mū ho sake kursī-nashīñ kyā harf hai
dars-e-ilm-e-ishq se vāqif nahīñ mutlaq faqīh
nahv hī meñ mahv hai yā sarf hī meñ sarf hai
mū se hai bārīk she'r-o-shā'erī ke darmiyāñ
ma.anī-e-misrā-e-qāmat kyā qayāmat zarf hai
zāhid-e-ḳhushk-o-ḳhunuk se kab ho sohbat un kī garm
ātish-e-tar se 'muhib' jin kā labālab zarf hai
shab na ye sardi se yaKH-basta zamin har tarf hai
mah pukare hai falak-parwardagi to barf hai
shah-e-gul ka hukm sayyaron ke ye hai bagh mein
jo na pi kar aae mai naukar nahin bartarf hai
surKH hai rumal-e-shaali us ke tahtul-jang tak
mushaf ruKHsar par ya jadwal-e-shangarf hai
nau-KHaton ke dil mein juz mashq-e-sitam tarz-e-wafa
yaksar-e-mu ho sake kursi-nashin kya harf hai
dars-e-ilm-e-ishq se waqif nahin mutlaq faqih
nahw hi mein mahw hai ya sarf hi mein sarf hai
mu se hai barik she'r-o-sha'eri ke darmiyan
mani-e-misra-e-qamat kya qayamat zarf hai
zahid-e-KHushk-o-KHunuk se kab ho sohbat un ki garm
aatish-e-tar se 'muhib' jin ka labaalab zarf hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.