shab ne paida ki KHarabi dur tak
shab ne paidā kī ḳharābī duur tak
gum hai aks-e-āftābī duur tak
dil shafaq kā chiir kar dekho zarā
hai lahū merā gulābī duur tak
le uḌī un ko samundar kī havā
ab kahāñ murġhān-e-ābī duur tak
kab huā thā jaane kis jā vāqi.a
ham ne jhelī iztirābī duur tak
daane dunke haiñ sitāroñ ke evaz
arsh ne ulTī rakābī duur tak
ham muaddab vo mujassam haiñ ḳhabar
un kī shān-e-bāryābī duur tak
shab ne paida ki KHarabi dur tak
gum hai aks-e-aftabi dur tak
dil shafaq ka chir kar dekho zara
hai lahu mera gulabi dur tak
le uDi un ko samundar ki hawa
ab kahan murghan-e-abi dur tak
kab hua tha jaane kis ja waqia
hum ne jheli iztirabi dur tak
dane dunke hain sitaron ke ewaz
arsh ne ulTi rakabi dur tak
hum muaddab wo mujassam hain KHabar
un ki shan-e-baryabi dur tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.