shab wahi lekin nazara aur hai
shab vahī lekin nazārā aur hai
raushnī kam hai sitārā aur hai
kashtiyāñ to ek jaisī haiñ tamām
haiñ alag dariyā kinārā aur hai
is taraf lahroñ kā manzar hai alag
us taraf paanī kā dhārā aur hai
mushtarak haiñ manzileñ lekin safar
hai judā un kā hamārā aur hai
pahle kahte the sanam ko māhtāb
ahd-e-nau kā isti.ārā aur hai
ruuh ke dam se hai us kī kā.enāt
jism ko kis kā sahārā aur hai
ban rahā hai ab jo dhartī pe 'kañval'
vo jahāñ saare kā saarā aur hai
shab wahi lekin nazara aur hai
raushni kam hai sitara aur hai
kashtiyan to ek jaisi hain tamam
hain alag dariya kinara aur hai
is taraf lahron ka manzar hai alag
us taraf pani ka dhaara aur hai
mushtarak hain manzilen lekin safar
hai juda un ka hamara aur hai
pahle kahte the sanam ko mahtab
ahd-e-nau ka istiara aur hai
ruh ke dam se hai us ki kaenat
jism ko kis ka sahaara aur hai
ban raha hai ab jo dharti pe 'kanwal'
wo jahan sare ka sara aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.