shabab-e-mausam hare chaman mein utarna hai
shabāb-e-mausam hare chaman meñ utārnā hai
kamāl jitnā bhī hai suḳhan meñ utārnā hai
ḳhudā-e-fan tū mire qalam meñ utar ki maiñ ne
kisī ko ġhazloñ ke pairahan meñ utārnā hai
vo jitnā sonā bhī koh-e-sar meñ paḌā huā hai
banā ke kundan kisī badan meñ utārnā hai
nikhār de jo mirī nazar ke tamām manzar
vo nuur sar ke ujāḌ-ban meñ utārnā hai
abhī se zulmat-kade meñ thak kar niDhāl ho tum
abhī to sūraj kiran kiran meñ utārnā hai
ye apnī fitrat hai yā ki sāda-dilī hai yaaro
jo hañs ke bole use bhī man meñ utārnā hai
hameñ ḳhabar hai ki kyā hai ye shaġhl-e-sher-goī
ki resha resha jigar kā fan meñ utārnā hai
kisī ko 'tāhir-adīm' masnad ye sauñpnī hai
kisī ko dil ke akele-pan meñ utārnā hai
shabab-e-mausam hare chaman mein utarna hai
kamal jitna bhi hai suKHan mein utarna hai
KHuda-e-fan tu mere qalam mein utar ki main ne
kisi ko ghazlon ke pairahan mein utarna hai
wo jitna sona bhi koh-e-sar mein paDa hua hai
bana ke kundan kisi badan mein utarna hai
nikhaar de jo meri nazar ke tamam manzar
wo nur sar ke ujaD-ban mein utarna hai
abhi se zulmat-kade mein thak kar niDhaal ho tum
abhi to suraj kiran kiran mein utarna hai
ye apni fitrat hai ya ki sada-dili hai yaro
jo hans ke bole use bhi man mein utarna hai
hamein KHabar hai ki kya hai ye shaghl-e-sher-goi
ki resha resha jigar ka fan mein utarna hai
kisi ko 'tahir-adim' masnad ye saunpni hai
kisi ko dil ke akele-pan mein utarna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.