shabdon ki madhira se bhigo kar teri choli
shabdoñ kī madhira se bhigo kar tirī cholī
khelī hai sahelī tire sanjog meñ holī
dar aa.e darāḌoñ kabhī dīvāroñ se paalā
barsāt meñ Tapke hai mirā ghar mirī kholī
ḳhushbū ko uThā kar rakhā dāmān-e-duā meñ
sūraj kī kiran ruuh ke parde meñ piro lī
tote ne kahā kaun thā dariyā pe batā de
muuī hai kahāñ jā ke tū mainā mujhe bolī
is aas kā is pyaas kā daarū nahīñ koī
dayyā rī kanhaiyā se kaho laa.e na Dolī
tū bhaiñseñ churā.e ki kahīñ taḳht suhā.e
ye aan janad jaan tire naam pe gholī
sahrā meñ milā ḳhaak kā idrāk badan par
kohsār pe tā-mās kī bū-bās se dho lī
sau baar luTā chainā bahe ban tire nainā
ashkoñ se bharī dekhī hai sau baar ye jholī
rig-ved meñ ashlok haiñ yā lok sunā.eñ
bādal ghire mausam phire pustak jahāñ phūlī
maqtal se guzar kar jo baḌhe shāḳh-e-sināñ tak
ye ziist tujhe dekh ke us raah pe ho lī
shabdon ki madhira se bhigo kar teri choli
kheli hai saheli tere sanjog mein holi
dar aae daraDon kabhi diwaron se pala
barsat mein Tapke hai mera ghar meri kholi
KHushbu ko uTha kar rakha daman-e-dua mein
suraj ki kiran ruh ke parde mein piro li
tote ne kaha kaun tha dariya pe bata de
mui hai kahan ja ke tu maina mujhe boli
is aas ka is pyas ka daru nahin koi
dayya ri kanhaiya se kaho lae na Doli
tu bhainsen churae ki kahin taKHt suhae
ye aan janad jaan tere nam pe gholi
sahra mein mila KHak ka idrak badan par
kohsar pe ta-mas ki bu-bas se dho li
sau bar luTa chaina bahe ban tere naina
ashkon se bhari dekhi hai sau bar ye jholi
rig-wed mein ashlok hain ya lok sunaen
baadal ghire mausam phire pustak jahan phuli
maqtal se guzar kar jo baDhe shaKH-e-sinan tak
ye zist tujhe dekh ke us rah pe ho li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.