shabih-e-KHanjar-e-qatil bana kar
shabīh-e-ḳhanjar-e-qātil banā kar
rakkhī siine meñ ham ne dil banā kar
junūñ dil ko na mere baiThne de
uThā de mast-e-lā-yāqil banā kar
nigāh-e-bad kā andesha hai mujh ko
vo baiThe haiñ jabīñ par til banā kar
jo qaabū tujh pe hotā merā ai jaan
tujhe pahlū meñ rakhtā dil banā kar
Darāyā pursish-e-mahshar se nāhaq
pashemāñ huuñ tujhe qātil banā kar
uThāyā hashr meñ bhī mujh ko us ne
savāl-e-dīd kā saa.il banā kar
uḌā le chal havā-e-shauq mujh ko
ġhubār-e-rahrav-e-manzil banā kar
nikālā ārzu-e-dil ko 'anjum'
tamannā-e-dil-e-bismil banā kar
shabih-e-KHanjar-e-qatil bana kar
rakkhi sine mein hum ne dil bana kar
junun dil ko na mere baiThne de
uTha de mast-e-la-yaqil bana kar
nigah-e-bad ka andesha hai mujh ko
wo baiThe hain jabin par til bana kar
jo qabu tujh pe hota mera ai jaan
tujhe pahlu mein rakhta dil bana kar
Daraya pursish-e-mahshar se nahaq
pasheman hun tujhe qatil bana kar
uThaya hashr mein bhi mujh ko us ne
sawal-e-did ka sail bana kar
uDa le chal hawa-e-shauq mujh ko
ghubar-e-rahraw-e-manzil bana kar
nikala aarzu-e-dil ko 'anjum'
tamanna-e-dil-e-bismil bana kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.