Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shabnam mein phul mein ki chaman ke nikhaar mein

Muhammad Hasan Ahsan Maliganvi

shabnam mein phul mein ki chaman ke nikhaar mein

Muhammad Hasan Ahsan Maliganvi

MORE BYMuhammad Hasan Ahsan Maliganvi

    shabnam meñ phuul meñ ki chaman ke nikhār meñ

    tum kis meñ chhup ke aaoge ab ke bahār meñ

    yaad un jalva-gar hai dil-e-dāġh-dār meñ

    niklā hai āftāb shab-e-intizār meñ

    anjām ashk-hā-e-mohabbat dekhiye

    durr-e-yatīm mil ga.e gard-o-ġhubār meñ

    ehsās ho rahā hai mujhe baar baar yuuñ

    jaise koī khaḌā ho mire intizār meñ

    ahvāl husn-o-ishq 'ahsan' na pūchhiye

    ye iḳhtiyār meñ hai na vo iḳhtiyār meñ

    shabnam mein phul mein ki chaman ke nikhaar mein

    tum kis mein chhup ke aaoge ab ke bahaar mein

    yaad un ki jalwa-gar hai dil-e-dagh-dar mein

    nikla hai aaftab shab-e-intizar mein

    anjam ashk-ha-e-mohabbat ka dekhiye

    durr-e-yatim mil gae gard-o-ghubar mein

    ehsas ho raha hai mujhe bar bar yun

    jaise koi khaDa ho mere intizar mein

    ahwal husn-o-ishq ka 'ahsan' na puchhiye

    ye iKHtiyar mein hai na wo iKHtiyar mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now