shabnam-zadi jitni teri aankhon mein hariyali hai
shabnam-zādī jitnī terī āñkhoñ meñ hariyālī hai
terā sabze par na chalnā sabze kī pāmālī hai
kis ko maiñ ye baat batā.ūñ kaun ise taslīm kare
āñgan meñ palte saa.e ne merī geñd churā lī hai
ḳhvāb kī afrātafarī se niklūñ to faisla kar pā.ūñ
kis kone meñ bistar Dālūñ saarā kamra ḳhālī hai
itnī āñkheñ jhāñk rahī haiñ ab siine ke rauzan se
mausam itnā sard nahīñ thā jitnī aag jalā lī hai
jaane bistar kā darvāza kaun nagar ko khultā hai
sahrā sahrā ghuum chukā huuñ saarī ḳhaak uḌā lī hai
is girdāb meñ rahte rahte itnā hunar to siikh liyā
is se pahle eḌī ghūme ham ne soch ghumā lī hai
in hāthoñ ne badal ke rakh dī science aur rivāyat bhī
patthar paanī meñ pheñkā aur us se aag nikālī hai
shabnam-zadi jitni teri aankhon mein hariyali hai
tera sabze par na chalna sabze ki pamali hai
kis ko main ye baat bataun kaun ise taslim kare
aangan mein palte sae ne meri gend chura li hai
KHwab ki afraatafari se niklun to faisla kar paun
kis kone mein bistar Dalun sara kamra KHali hai
itni aankhen jhank rahi hain ab sine ke rauzan se
mausam itna sard nahin tha jitni aag jala li hai
jaane bistar ka darwaza kaun nagar ko khulta hai
sahra sahra ghum chuka hun sari KHak uDa li hai
is girdab mein rahte rahte itna hunar to sikh liya
is se pahle eDi ghume hum ne soch ghuma li hai
in hathon ne badal ke rakh di science aur riwayat bhi
patthar pani mein phenka aur us se aag nikali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.