shadid girya ka matlab bata raha tha hamein
shadīd girya kā matlab batā rahā thā hameñ
vo ro rahā thā ki ronā sikhā rahā thā hameñ
ham us ke uTThe hue haath kī taraf bhāge
pata chalā ki vo rasta dikhā rahā thā hameñ
pahāḌ us ke ilāqe meñ Dher hote haiñ
vo apne gaañv kī bāteñ sunā rahā thā hameñ
ham apne aap ko vaisā banā samajh rahe the
hamāre baare meñ jaisā batā rahā thā hameñ
zarūr us kā koī pyaas se marā hogā
vo kitne pyaar se paanī pilā rahā thā hameñ
bujhā rahā thā charāġhoñ ko apnī sāñsoñ se
aur apne nuur kī lau se jalā rahā thā hameñ
shadid girya ka matlab bata raha tha hamein
wo ro raha tha ki rona sikha raha tha hamein
hum us ke uTThe hue hath ki taraf bhage
pata chala ki wo rasta dikha raha tha hamein
pahaD us ke ilaqe mein Dher hote hain
wo apne ganw ki baaten suna raha tha hamein
hum apne aap ko waisa bana samajh rahe the
hamare bare mein jaisa bata raha tha hamein
zarur us ka koi pyas se mara hoga
wo kitne pyar se pani pila raha tha hamein
bujha raha tha charaghon ko apni sanson se
aur apne nur ki lau se jala raha tha hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.