shafaq ka nur bhi rah rang-e-aftab mein aa
shafaq kā nuur bhī rah rañg-e-āftāb meñ aa
nazar bachā ke kabhī vādī-e-gulāb meñ aa
varaq varaq na pareshān rah havāoñ meñ
hurūf-e-arz-e-tamannā hai to kitāb meñ aa
chamakte zarroñ meñ bahtā huā samundar hai
hai tujh ko shauq-e-tajassus to phir sarāb meñ aa
ḳhutūt hī ke vasīle se maiñ paḌhūñ tujh ko
kabhī savāl kī sūrat kabhī javāb meñ aa
mire gunāh meñ shāmil rahā hai tū bhī 'asad'
nibhāne ahd-e-vafā ab mire azaab meñ aa
shafaq ka nur bhi rah rang-e-aftab mein aa
nazar bacha ke kabhi wadi-e-gulab mein aa
waraq waraq na pareshan rah hawaon mein
huruf-e-arz-e-tamanna hai to kitab mein aa
chamakte zarron mein bahta hua samundar hai
hai tujh ko shauq-e-tajassus to phir sarab mein aa
KHutut hi ke wasile se main paDhun tujh ko
kabhi sawal ki surat kabhi jawab mein aa
mere gunah mein shamil raha hai tu bhi 'asad'
nibhane ahd-e-wafa ab mere azab mein aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.