shafaq kirnen kanwal talab uske
shafaq kirneñ kañval tālāb us ke
ye manzar sab hasīñ shādāb us ke
chalo kahne ko haiñ nīñdeñ hamārī
magar āñkhoñ meñ saare ḳhvāb us ke
jahān-e-tīrgī aalam hamārā
ujāle raushnī ke baab us ke
usī kī zaat vajh-e-nūr-o-naġhma
ye jharne kahkashāñ mahtāb us ke
kitāb-e-zindagī par naam apnā
jo andar dekhiye abvāb us ke
hamārī guftugū vāhī-tabāhī
magar aqvāl sab nāyāb us ke
qatīl-e-dostāñ 'jāved' apnā
mile the aaj phir ahbāb us ke
shafaq kirnen kanwal talab us ke
ye manzar sab hasin shadab us ke
chalo kahne ko hain ninden hamari
magar aankhon mein sare KHwab us ke
jahan-e-tirgi aalam hamara
ujale raushni ke bab us ke
usi ki zat wajh-e-nur-o-naghma
ye jharne kahkashan mahtab us ke
kitab-e-zindagi par nam apna
jo andar dekhiye abwab us ke
hamari guftugu wahi-tabahi
magar aqwal sab nayab us ke
qatil-e-dostan 'jawed' apna
mile the aaj phir ahbab us ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.